Uljhan

सभी चाहते हैं मेरा एक हिस्सा उनके लिये,
में कब पाऊँ कुछ अपने लिये

जीवन है मेरा,
किंतु महत्व किसी और का
विचार हैं मेरे,
परंतु आचार किसी और सा

तस्वीर बनाना चाहूँ
तो मन के रंग न भर पाऊँ
गीत गाना चाहूँ,
तो अपनी धुन न रच पाऊँ

कैद हूँ मैं,
जैसे एक अदृश्य से पिंजरे में
मेहंदी हूँ जैसे,
जीवन सार्थक है पिसने में

तोडना है मुझे,
इन बेडियों को अपने पाँव से
अर्थ पाना है खुद का,
सँसार कि धूप-छाँव में

सभी चाहते हैं मेरा एक हिस्सा उनके लिये,
में कब पाऊँ कुछ अपने लिये

Sabhee chhahte hain mera ek hissa unke liye,
Mein kab paaoon kuchh apne liye

Jeevan hai mera,
Kintu mahatv kisee aur ka
Vichaar hain mere,
Parantu aachaar kisee aur sa

Tasveer banana chaahoon,
To man ke rang na bhar paoon
Geet gaana chaahoon,
To apnee dhun na rach paoon

Kaid hoon mein,
Jaise ek adrishya se pinjre mein
Mehndee hoon jaise,
Jeevan sarthak hai pisne mein

Todna hai mujhe,
In bediyon ko apne paanv se
Arth paana hai,
Khud ka, sansaar ki dhoop-chhaon mein

Sabhee chhahte hain mera ek hissa unke liye,
Mein kab paaoon kuchh apne liye

Hope you enjoyed reading this post. Let me know your thoughts :)